Tuesday, August 18, 2009

JASHN E AAZADI - By Allama Jameel Mazhari


After 62 years of Independence of both India and Pakistan, there are millions of our fellow citizens who live in abject poverty and are denied socio-economic rights. On the one hand, it is said that India’s economy is booming, but on the other hand the scenario in the rural areas is deplorable. The poor have become poorer and the benefits of a ‘booming’ economy haven’t translated into development. If the divide between the rich and poor is not addressed, our dream will remain unfulfilled. This Independence has brought a lot of change for the upper strata of the society but for the lower strata its just a freedom from the British rule,because they are still ensalved by the socio-economic problems due to the anti-poor policies of the government which has a direct effect on their livelihood. The lower strata is still trapped under the vicious circle of poverty.

My heartiest wishes to all my dear fellow Indian citizens and my Pakistani friends on the 62nd year of our Independence from the British rule . Here I would like to share with you a favourite poem from my Grandfather Late Allama Jameel Mazhari which he recited in The Bihar Assembly at Patna in the year 1950.

'' JASHN E AAZAADI''


Jashn matamkada e Hind mein aazadi ka
Kucch thikaana hai tumhari sitam ijaadi ka?

Aaj duniya mein na ahmaq koi tum sa hoga
Is andhere mein chiraagon se ujala hoga?

Kya andhere ko dikhate ho tamasha e sahar
Noor shammon ka hai ya khoon e tamanna e sahar

Tum ne muflis ke shabistaan ki bhi dekhi hai bahar
Us ke seene mein chiraaghaan ki bhi dekhi hai bahaar

Yeh bilakte hue bacche inhien dekho, idhar aao
Bashariyat ke kaleje key eh riste hue ghao

Jinki lalchayi nazar faqa kashi ki maari
Jinko roti hai khilone se bhi zyada pyari

‘’Nauhakhwan aaj na kis tarah hon aazaadi ke
Khelein kya khud hi khilone hain yeh barbaadi ke’’

Jashn e aazaadi e jamhoor Mubarak ho tumhein
Raunaq e khana e mazdoor Mubarak ho tumhein

Haandiyan shaam se aundhi hui qismat ki tarah
Chup hai dil maan ka chiraag e sar e turbat ki tarah

Aag chulhe mein ek ummeed ki kujhlayi hui
Jaise seene mein tamanna koi murjhayi hui

Ahl e beenash ko Mubarak ho yeh samaan e nishaat
Khoon e muflis se yeh gulkaari e damaan e nishaat

Fikr e aflaas se dhoye hue chehron ki qasam
Jin ko kajal nahin milta un aankhon ki qasam

Qasam us jism ki uryaani hi chaadar ho jise
Qasam us maang ki sindoor na muyassar ho jise

Rang e mehfil ki qasam raunaq e manzar ki qasam
Jis mein mitti ka diya bhi nahin us ghar ki qasam

Qasam us shahr ki jis mein ke diwali hai aaj
Qasam us raat ki jo aur bhi kaali hai aaj

‘’ Key eh marghat ka ujala hai, chita hai yeh jashn
Ek toote hue dholak ki sada hai yeh jashn’’

Aye dil e zaar e watan , ae lab e faryaadi e qaum
Aake hum aaj karein maatam e aazaadi e qaum

Khwaab e aazaadi ki sad haif yeh tabeer ae dost
Ban gayi saanp yeh tooti hui zanjeer ae dost

Toot kar rengne phirne lagi lehraane lagi
Das gayi rooh ko is tarah ke neend aane lagi

‘’ Hue aazaad to kya gardish e dauraan hai wahi
Hasrat ae subah e watan shaam e ghareebaan hai wahi’’

2 comments:

Kamran Haider said...

Bhai Mola app ko salamat rakhay ...
kis qadar khoobsorat kalam app ney share kya....

My father Syed Ghazanfar Ali is his grand son (nawasay). The detail relation I dont remember.

However I recited his Marsiya in my first CD/DVD where you can find more Kalams of Syed Wahib Muzafar Puri, Syed Saqib and also the kalam of Molvi Nazeer Hussain Nazeer uncle of Allama Jameel Mazhari.

http://karwan-e-zainab.blogspot.com/

and my channel @ youtube
http://www.youtube.com/user/110hasnain.

iltemase dua
keep in touch
Kamran Rizvi

buddingjourno said...

W'salam Kaamraan bhai, shukriya

Really great to know. I know Saquib Muzaffarpuri very much as he was the one who wrote a qata e tareekh for my late father DR. Syed Murtaza Kazim alias dr. Anu. Hamara bhi aabayi watan muzaffarpur hi hai and Allama JAmeel MAzhari was the one cousin of my late grand father. All the names which you have mentioned above are some how related to us as i am also very much ignorant about the relations. I have heard the name of your father also. Please do ask him whether he knows Late Dr. S. M. KAzim alias Dr, Annu of late Advocate Syed MOhhamad(My grand father).

I will certainly go thru your blog and channels, Great to be in touch with you. Now the thig which is for sure is that we are some how related to each other.

If you facebook then you can find me there by my email id syedhasank@gmail.com or simply by my name Syed Hasan Kazim.

hope to keep in touch with you.

Iltemas e dua

Regards
Syed Hassan Kazim