Tuesday, July 15, 2008

Roodaad E "KAARWAAN...."

The best poem which i like.........

Kuch to Gard e kaarwaan kucch kaarwaan bante rahe
Kucch Ghubaar aise bhi the jo aasmaan bante rahe....

Hum ne yeh aalam bhi dekha hai junoon e khudgari
Ke chaman ujda kiye aur aashiyan bante rahe...

Izteraab e ishq ne kucch muztarib lamhe diye
Aur woh lamhe hayaat e jaawedaan bante rahe...

Un se poocho, un se poocho us ki badgaami ka haal
Naaqa e ayyam ke jo saarbaan bante rahe...

Ek woh jo be tapish karte rahe Izhaar e nau
Ek hum jo soz rakh kar be zubaan bante rahe..

Taare sooraj ban gaye lamhaat sadiyan ban gayin
Aur khela mein aasman pe aasman bante rahe...

Kaarwaan e waqt aage ki taraf badhta gaya
Aur hum insaan gard e kaarwaan bante rahe...

Hum ne is duniya mein aakar kya banaya kya bane
Haan magar kucch aalam e wehm o gumaan bante rahe...

"Mazhari" jalta raha yun hi mere dil ka ulao
Koi paas aaya nahin shole dhuaan bante rahe...

5 comments:

Som said...

Lazabab Syed Bhai,

Mujhe Hindi aur English Ke Muqabale Urdu Padana Bahut Accha Lagata Hai, par, meri Urdu zyada majboot nahi hai, thoda bahut lik aur pad lete hai.

Bhai, Izteraab ka matlab kya hota hai ?

buddingjourno said...

Thanx a ton brother.... Izteraab means "bechaini"......
anyways kaise hain aap? to aap bhi journalist hain ?

Som said...

Shukriya Bhai,

Yes. Am too Journo. Right now, involves in Research linked with Parliament.

buddingjourno said...

ok nice 2 know u....

Narjis Kazmi said...

nice hasan ,very nice .I really love the taste u have.God bless.