Showing posts with label Mazhari. Show all posts
Showing posts with label Mazhari. Show all posts

Tuesday, July 15, 2008

Roodaad E "KAARWAAN...."

The best poem which i like.........

Kuch to Gard e kaarwaan kucch kaarwaan bante rahe
Kucch Ghubaar aise bhi the jo aasmaan bante rahe....

Hum ne yeh aalam bhi dekha hai junoon e khudgari
Ke chaman ujda kiye aur aashiyan bante rahe...

Izteraab e ishq ne kucch muztarib lamhe diye
Aur woh lamhe hayaat e jaawedaan bante rahe...

Un se poocho, un se poocho us ki badgaami ka haal
Naaqa e ayyam ke jo saarbaan bante rahe...

Ek woh jo be tapish karte rahe Izhaar e nau
Ek hum jo soz rakh kar be zubaan bante rahe..

Taare sooraj ban gaye lamhaat sadiyan ban gayin
Aur khela mein aasman pe aasman bante rahe...

Kaarwaan e waqt aage ki taraf badhta gaya
Aur hum insaan gard e kaarwaan bante rahe...

Hum ne is duniya mein aakar kya banaya kya bane
Haan magar kucch aalam e wehm o gumaan bante rahe...

"Mazhari" jalta raha yun hi mere dil ka ulao
Koi paas aaya nahin shole dhuaan bante rahe...